Sunday, June 3, 2012

Kehte hain aadatein hamesha saath rehti hain
Vo tab bhi thin jub abba ko khaanste dekha tha
Aur tab bhi jub unpar pehli mitti daalne kisi ne mere kaandhe par haath rakha tha
Kehte hain aadatein hamesha saath rehti hain
Us adat ki khushboo ko ammi ne mere kapdon mein sungha tha
Meri biwi ne honthon se soongh kar jhagda kia tha
Usi aadat ka haath pakad kar bahut door nikal aaya
Door itna ki vapas mud kar dekhun to sab kuch dhundla sa dikhta hai
Vapas jaana namumkin sa lagta hai
Badan mein mere jo zeher ris raha hai vo usi aadat ka hai
Mujhe kamzoor karta hai
Mujhe beemar karta hai

Aaj vo aadat chhod di maine
Aaj Uska haath chhuda kar vapas bhaag nikla hun
Kaun kehta hai aadaten saath rehti hain

 Ab main cigarette nahin peeta.