Tuesday, November 27, 2007

....mere apne liye

"badan ke dono kinaron se jal raha hoon main
ke chhuu raha hun tujhe, aur pighal raha hoon main

tujhi pe khatm hai jaana mere zavaal ki raat
tu ab tulu bhi ho ja, ke dhal raha hoon main

main khvaab dekh raha hoon ke vo pukarta hai
aur apne jism se bahar nikal raha hoon main"

Basheer Badr

3 comments:

Blabber Dog said...

Bulaa raha hai mera jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaan badal raha hu main,

Ghubaar-e-rahguzar ka ye hausla bhi to dekh
havaa-e-taaza! tere saath chal raha hu main..

So u have got fixed on my choices man...anyways keep on doing so,will hit u on ur head.

Love u buddy..

Hi Meenu !

Blabber Dog said...

Aap ke Liye....samjhdar ko ishara kaafi hota hai !

shola-e-ishq bujhaana bhi nahi chahta hai
woh magar khud ko jalana bhi nahichahta hai,

us ko manzoor nahi hai meri gumrahi bhi,
aur mujhe raah pe laana bhii nahi chahta hai,

sair bhi jism ke sehra ki Khush aatii hai magar,
der tak Khaak udaana bhi nahi chahta hai,

kaise us shakhs se tabeer pe israar karein
jo koi Khwab dikhana bhi nahi chahta hai,

apne kis kaam mein laayega bataata bhi nahi
hum ko auro pe ganvaana bhi nahi chahta hai,

mere lafzo mein bhi chuptaa nahi paikar us ka,
dil magar naam batana bhi nahi chahta hai..

Tarique Anwer said...

kya fahad bhai ap bhi nakal karte hain?