Tuesday, January 20, 2009

kya likhun

samajh nahin aa raha hai kya likhun
dard likhun
chot likhun
zakhm likhun
ghaav ki jalan ko phu phu kar ke phoonkun
ya is baar jalan ko badhne doon
tees banne doon
rui ki fa fe utha kar muvaad pooch doon
ya risne doon
tapakne doon
samajh nahin aa raha hai kya likhun
is baar ghaav ko dekh loon ghaur se
thoda zyada der tak
kuch faisle
aur uske baad hausle
kahin to dava rakhni hogi
jalan ki dava
dard ki dava
tees ki dava
kahin to shurwaat karni hi hogi
yahi faisla kia hai maine.

3 comments:

Ameer Imam said...

you may be a good poet only when you can't decide sth. so starting lines are very good. one great scholar ameer imam said " nothing is more meaningful than meaninglessness for it provides you a great opportunity to explore your own meanings". nice... keep it up.

Blabber Dog said...

Ameer Imam saheb kaise hai, Yeh RJ hamara shayr to hai hi..umda hai bhai

Samrat said...

Hmmmmm kuch to bAat hai